You are currently viewing 180+ Maa ke liye Shayari in English – Heartfelt Lines for Mother
Maa Ke Liye Shayari In English

180+ Maa ke liye Shayari in English – Heartfelt Lines for Mother

Looking for maa ke liye Shayari in English that feels real and emotional? This post is for you. It’s a small way to say thank you to the one who gives us everything without asking.

Your success, peace, and blessings come from your mother’s love and prayers.

You’ll find touching maa ke liye lines to share with your mom, and heartfelt quotes that reflect her love. We’ve also included short status updates and a loving caption to make her feel special.

Whether it’s Mother’s Day or a quiet moment thinking of your mama, these words will touch the heart. This post also brings emotional poetry to honor your mother, the one who stood by you always, even in silence.

Heartfelt Maa Ke Liye Shayari

Maa Ke Liye shayari In English
Maa Ke Liye Shayari In English

Maa ki azmat se achha jaam kya hoga,
Maa ki khidmat se achha kaam kya hoga.
Khuda ne rakh di ho jis ke kadmon mein jannat,
Socho uske sar ka mukaam kya hoga.

Maa na hoti to wafa kaun karega,
Mamta ka haq bhi kaun ada karega.
Rab har ek maa ko salaamat rakhna,
Warna hamare liye dua kaun karega.

Tum kya uski barabari karoge,
Woh toofanon mein bhi rotiyaan sek deti hai,
Aur woh maa hai janaab,
Darti nahin hai, mushkilon ko to choolhe mein jhok deti hai.

“Maa” ki ek dua zindagi bana degi,
Khud roye gi magar tumhein hansa degi.
Kabhi bhool ke bhi na “Maa” ko rulana,
Ek chhoti si galti poora arsh hila degi.

Seedha saadha bhola bhaala main hi sab se saccha hoon,
Kitna bhi ho jaaun bada, maa aaj bhi tera bachcha hoon.

Pahaadon jaise sadme jhelti hai umr bhar lekin,
Ik aulaad ki takleef se maa toot jaati hai.

Agar waqt mile do pal ka to haal poochh lena,
Agar zindagi pareshan kare to sawaal poochh lena.
Aur jinhone sikhaya hai pairon par chalna,
Kabhi un maa baap ka bhi khyaal poochh lena.

Yoon to maine duniya ke har nishaan ko chhua,
Jab maa ne god mein uthaya to aasmaan ko chhua.

Maa ke aage saari kaaynat jhuk jaati hai,
Ek pal bhi maa se door hota hoon to, duniya hi ruk jaati hai

Ye jo sakht raaston pe bhi aasaan safar lagta hai,
Ye mujh ko maa ki duaon ka asar lagta hai.
Ek muddat hui meri maa nahi soyi Tabish…
Maine ek baar kaha tha ke mujhe dar lagta hai.

Best Status Maa Ke Liye Shayari 2 Line

Maa Ke Liye Shayari 2 Line
Maa Ke Liye Shayari In English

Nahin samajh paata is dikhave se kya mil jaata hai,
Woh haath par maa khudvaakar vriddhaashram milne jaata hai.

Mat kahiye ki mere saath rehti hain maa,
Kahiye ki maa ke saath hum rehte hain…

Jab humein bolna nahi aata tha to maa samajh jaati thi,
Aaj hum har baat par kehte hain, maa tu nahin samjhegi.

Maana ki dooriyan
Kuchh badh si gayi hain,
Lekin “maa”
Tere hisse ka waqt
Aaj bhi tanha guzarta hoon.

Ek aansoo bhi hukumat ke liye khatra hai,
Tumne dekha nahi aankhon ka samundar hona.

So jaate hain footpath pe akhbaar bichha kar,
Mazdoor kabhi neend ki goli nahi khaate.

Munawwar maa ke aage yoon kabhi khul kar nahin rona,
Jahan buniyad ho itni nami achhi nahin hoti.

Barbaad kar diya humein pardes ne,
Magar maa sabse keh rahi hai ki beta maze mein hai.

Tamam jism ko aankhen bana ke raah tako,
Tamam khel mohabbat mein intezaar ka hai.

Maine kal shab chahaton ki sab kitaabein faad di,
Sirf ik kaagaz pe likha lafz-e-maa rehne diya.

Hum nahin the to kya kami thi yahan,
Hum na honge to kya kami hogi.

Bachon ki fees, unki kitaabein, qalam, dawaat,
Meri gareeb aankhon mein school chubh gaya.

Shahar ke raste ho chahe gaon ki pagdandiyan
Maa ki ungli thaam kar chalna bahut accha laga

Ghar mein rehte hue gairon ki tarah hoti hain ladkiyaan
Dhaan ke poudon ki tarah hoti hain

Bojh uthana shauq kahaan hai, majboori ka sauda hai
Rehte rehte station par log kuli ho jaate hain

Maa khwaab mein aa kar ye bata jaati hai har roz
Boseeda si odhi hui is shaal mein hum hain

Ye soch kar ke tera intezaar laazim hai
Tamaam umr ghadi ki taraf nahin dekha.

Special Mother Maa Shayri In English

Maa Shayari In English
Maa Ke Liye Shayari In English

Mitti ka badan kar diya mitti ke hawaale
Mitti ko kahin Taj Mahal mein nahin rakha

Jab duniya-daari mein dard humein hota hai,
To chot lagti hai maa ke dil ko,
Aur jab tak hamaari aankhon mein hansi nahin dekhti
Tab tak uske dil ko sukoon nahin milta hai

Unko kabhi dekha nahin humne,
Lekin teri maa ki duaon mein uski rehmat dikhti hai.

Main jo kuch bhi hoon ya hone ki aasha rakhta hoon
Uska shrey sirf meri maa ko jaata hai.

Maa ke kandhe par jab sar rakha maine to poocha maa se,
“Kab tak yuhi apne kandhe par sone dogi?”
Maa ne kaha, “Beta, tab tak…
Jab tak log mujhe apne kandhe par utha nahi lenge.

Maa tere doodh ka karz mujhse kabhi ada nahin hoga,
Agar kabhi rahi tu naraaz, to khush woh Khuda mujhse kya hoga…

Main raat bhar jannat ki sair karta raha doston,
Subah jab neend khuli to sar maa ke pairo pe tha..

Is duniya mein bina kisi swarth se pyaar sirf maa hi kar sakti hai.

Maa” ki ek dua zindagi bana degi,
Khud roeygi magar tumhe hansa degi.
Kabhi bhool ke bhi na “maa” ko rulana,
Ek chhoti si galti poora arsh hila degi.

Ae mere Maalik, tune gul ko gulshan mein jagah di,
Paani ko dariya mein jagah di.
Panchhiyon ko aasmaan mein jagah di,
Tu us shakhs ko jannat mein jagah dena.
Jisne mujhe… nau… mahine pet mein jagah di.

Ye kehkar chhupke se roti uthai maa ne…
“Tujhe dene wale to Allah ke hazaaron raaste hain,
Magar agar aaj mera laal bhooka so gaya,
To meri rooh kabhi sukoon nahi paayegi

Kisi ne roza rakha, kisi ne upvaas rakha,
Qubool uska hua jisne apne maa-baap ko apne paas rakha.

Real Love Mom Ke Liye Shayari

Meri khwahish hai ke main phir se farishta ho jaaun,
Maa se is tarah lipat jaaun ke bachcha ho jaaun..!

Khaane ki cheezein maa ne jo bheji hain gaon se,
Baasi ho gayi hain magar lazzat wahi rahi.

Jab tak raha hoon dhoop mein, chaadar bana raha,
Main apni maa ka aakhiri zewar bana raha..

Maa to jannat ki phool hai,
Pyaar karna unka usool hai.

Duniya ki mohabbat fazool hai,
Maa ki har dua qubool hai.

Maa ko naraaz karna insaan teri bhool hai,
Maa ke qadamoon ki mitti jannat ki dhool hai

Maa bhale hi padhi-likhi ho ya na ho,
Par duniya ka durlabh aur mahatvapurn gyaan humein maa se hi prapt hota hai.

Tune rulaa ke rakh diya ae zindagi,
Jaakar poochh meri “maa” se kitne laadle the hum

Jab ek roti ke chaar tukde ho aur khane wale paanch…
Tab mujhe bhookh nahi hai, aisa kehne wali hai – “Maa”.

Thak gaya hoon, mujhe apne aanchal mein chhupa lo…
Haath apna pher kar mere baalon mein ek baar phisr se bachpan ki loriya suna do…

Upar jiska ant nahi use aasman kehte hain,
Is duniya mein jis pyaar ka ant nahi use maa kehte hain.

Manzil abhi bahut door aur safar bhi bahut hai,
Chhoti si hai ye zindagi lekin fikr bahut hai,
Kab ki tabaah kar deti ye duniya mujhe,
Woh to maa ke duaon ka asar bahut hai.

Pyaar ko nirakar se sakaar hone ka mann hua,
To is dharti par maa ka srijan hua.

Ek muddat ho gayi meri maa nahi soi,
Ek baar maine kaha tha ki darr lagta hai mujhe.

Mere paas jo bhi shohrat hai woh meri maa ki badolat hai,
Ai Khuda aur kya dega tu mujhe,
Meri maa mere liye sabse badi daulat hai.

Heart Touching Shayari On Mother In English

Jis bete ka pehla lafz bolne par khushi se chilla uthi thi maa,
Aaj usi bete ke ek lafz par khamosh ho jaati hai woh maa.

Duniya ki sabse keemti cheez kya hai,
Har koi kehta hai woh ‘jaan’ hai,
Meri jaan jismein basi hai woh,
Khuda ki sabse khoobsurat takhleeq, maa hai.

Ma se chhota koi shabd ho to batao, Ma se bada koi arth ho to batao.

Maa jab bhi duaayein mere naam karti hai,
Raaste ki har thokarein mujhe salaam karti hain.

Meri maa bhi kitni anpadh hai,
Main roti ek maangta hoon, woh do de deti hai.

Sahansheelata patthar si aur dil hai mom sa,
Meri maa na jaane kis mitti ki bani hai.

Maa ki duaayein zindagi bana denge,
Khud roye gi par tumhein hansa degi.
Kabhi na rulana apni maa ko,
Yeh galti poora arsh hila degi.

Na apnon se khulta hai, na hi gairon se khulta hai,
Yeh Jannat ka darwaaza hai, maa ke pairón se khulta hai.

Maa woh khaasiyat hai jo hamesha
apni aulaad ki khushhaali ke liye dua karti hai.

Maa Allah ka sabse keemti aur naayaab tohfa hai.

Badi ibaadat se maanga maine Allah se Jannat ka pata,
To maa ke qadmon ki taraf ishara kar diya — bas yahi hai Jannat ka rasta.

Maa ek indradhanush hai jismein sabhi rang samaaye hue hain.

Maa woh dilkash phool hai, jo poore gulshan ko mehakati hai.

Neend apni bhulaakar humko sulaaya,
Aansu giraakar humko hansaaya,
Dard kabhi na dena maa ke dil ko,
Jannat hai uske qadmon ke neeche, yeh Khuda ka farmaan hai.

Jab Khuda ne rehmat ka sabse haseen roop dena chaha,
To maa ko paida kiya — sabr, pyaar, aur duaaon ka saara noor dekar.

Maa Ke Liye Lines In English – perfect For Caption

Tanhai kya hoti hai us maa se poochho,
Jiska beta ghar laut kar nahi aaya.

Maa noor hai, mehak hai, jazba hai, mohabbat hai, mamta hai, tohfa hai,
Aur maa Jannat ka raasta bhi hai,

Gher lene ko mujhe jab bhi balaayein aa gayín,
Dhaal ban kar saamne maa ki duaayein aa gayín..

Maa ko dekh kar muskara liya karo,
Uske chehre mein Khuda ki rehmat ka noor hota hai.

Meri life mein aapke is apaar yogdaan ke liye shukriya Maa.

Jannat ka har lamha deedaar kiya tha,
Maa, tune god mein utha kar jab pyaar kiya tha!

Maa ka koi din nahin hai,
Jisne mujhe zindagi di, meri zindagi ka har din uska hai.

Meri doobti hui naiyya ki patwaar hai tu maa,
Bhag-daud ki zindagi mein mera itwaar hai tu maa.

Rehmat hi to hai yeh meri maa ki,
Jo ek pal bhi bhoolne nahin deti khud ko

Maa ki tarah koi khayaal rakh paaye
yeh to khayaalon mein hi mumkin hai

Dhoondhti rehti hoon tumhein apne chehre mein kahin…
Yeh duniya kehti hai main poori tumhare jaisi hoon, Maa

Maa bhi kitni anpadh hai,
Maangta hoon ek roti, maa do laakar deti hai.
Love you Maa

Tere paas rehne se befikr rehti hoon,
Tere door rehne par bikhri si rehti hoon,
Maa, tu hai to main jee leti hoon.

ahaan bhool kar maa ka dulaar, duniya dhoond rahi hai sachcha pyaar,
Chalo hum aisa karte hain phir ek baar,
Chanda ki lori mein khote hain,
Maa ki godi mein sir rakh kar sote hain…

Jannat ki yaad dilati hai woh,
Hamaare cement ke makaan ko bhi rehmaton ka ghar bana deti hai.

Mother Poetry In Urdu English

Behd hudood mein bayan ki jaane wali Maa,
Behd gehraiyon se bhara hua Maa ka pyaar.

Ghar ka bojha alag, woh mera basta bhi uthati thi,
Bachpan mein maa aksar mujhe school se lene aati thi.

Dil sa noor agar chehre par hota,
Khuda kasam, meri maa sa kahin aur na koi Kohinoor hota.

Mujhse zyada jaanti hai mere baare mein,
Jaise aaina dikhata ho tasveer meri.
Kaise qareeb aata mere saaya gham ka,
Meri maa ki duaaon ne sanwaari taqdeer meri.

Mujhe chot lagti to maa aansu bahaati hai…
Maa aisi shakti hai jo panktiyon mein bayaan nahin hoti hai

Aaj phir maa ne aakhiri roti apni thaali se usse khila di…
Aur woh samajh gaya, maa ki duaaon mein Rab ka noor basta hai.

Upar jiska noor chhaya ho use aasmaan kehte hain,
Jahan mein jiska pyaar kabhi kam na ho use maa kehte hain

Jiske pyaar ke ehsaas ko shabdon mein bayaan na kiya ja sake,
Woh hoti hai “Maa”.

Aaj baithi thi mehfil auraton ki meri gali,
Aur baatein achhi parvarish karne ki chali.
Aaj phir se naam aaya har zubaan pe tera,
Ho… Maa, tere saath bitaya har pal kitna haseen tha mera.

Maa ke saath bitaya “waqt”, unhein diya hua “samman”,
Maa ke saath kiya har “kaam” —
Yeh teenon hi zindagi ke woh ahsaas hain,
Jo aapko kahin bhi jhukne, kisi bhi mod par rukne,
Aur jeevan ki kisi bhi paristhiti aur musibaton mein
Aapko tootne nahi denge

Main sab kuch bhool sakta hoon, tumhe nahin maa,
Meri muskurane ki wajah sirf tum ho.

Maa Ke Liye Stutus In English

Maa ka pyaar sabse zyada taaqatwar hota hai, aur bachpan ki rooh sabse zyada shifa dene wali.

Khushi us pal mein hoti hai jab maa ke chehre pe muskaan hoti hai.

Chahe jitni baar bolun ‘I love you,’ har baar se zyada tumse pyaar hota hai.

Main maa se waisa hi pyaar karti hoon jaise ped dhoop aur paani se — woh mujhe oonchaiyon tak le jaati hai.

Zindagi ke har mod par maa ki zarurat mehsoos hoti hai, chahe umar kuch bhi ho.

Jaise maa hoti hai, waise hi beti bhi usi ki parchhai hoti hai.

Tera pyaar mere dil ka har kona bhar deta hai — poori zindagi ke liye.

Jo taqat mere andar hai, woh us maa ka asar hai jisne mujhe paala.

Maa aur beti ka rishta kabhi toot nahi sakta — yeh bandhan amar hota hai.

Maa tumhari pehli dost hoti hai, sabse achhi dost, aur hamesha ke liye saathi.

Ek maa sirf ek rishta nahi, ek kaam hai — jo pyaar se nibhaaya jata hai.

Mummy wahi hoti hai jo humein sabse achhi tarah jaanti hai aur bina shart pyaar karti hai.

Uska pyaar ek aisi taqat hai jo insaan ko naamumkin ko mumkin banane ki himmat deta hai.

Uski mohabbat ek aisi shanti hai jise na paana padta hai, na jeetni padti hai.

Woh apna pyaar das bachchon mein baant sakti hai, lekin har ek ko lagta hai ki saara pyaar usi ke liye hai.

Ek maa sabki jagah le sakti hai, par uski jagah koi nahi le sakta.

Lovely Quotes Maa Ke Liye – Perfect For Mother’s Day

“Maa tumhari pehli dost hoti hai, sabse achhi saathi, aur zindagi bhar ka pyaara rishta.”

“Jab tum maa ki taraf dekhte ho, tab tumhe sabse pavitra pyaar ka ehsaas hota hai.”

“Maa ghar ki dhadkan hoti hai — uske bina sab kuch bejaan lagta hai.”

“Woh glue ki tarah hoti hai — dikhe na dikhe, par parivaar ko jod ke rakhti hai.”

“Meri maa khubsurti aur naram mizaj ka sangam hai, lekin andar se pathar ki tarah mazboot hai.”

“Maa ka naam bachpan ke dil aur honton par hota hai, jaise woh unke liye poori duniya ho.”

“Maa ka asar apne bachchon ki zindagi par andaza se bahar hota hai.”

“Sona sajaya ja sakta hai, par maa se zyada khoobsurat banana namumkin hai.”

“Zindagi mein maa ka kirdar sabse ahem hota hai — isse zyada zaroori kuch nahi.”

“Jawani dhal jaati hai, dosti kamzor pad jaati hai — par maa ki umeedein kabhi nahi mit’ti.”

“Maa banna ek naya anubhav hai — thoda kathin, lekin sabse pyaara.”

“Sirf maa hi kal ke sapne aaj bachchon mein janam deti hai.”

“Main jab tak samjhi, maa meri asli misaal ban chuki thi.”

“Maa ko bayaan karna tufan ki khoobsurti likhne jaisa hai — taqat aur pyaar ka perfect mix.”

“Maa banna ek bada risk hai, lekin yeh sabse badhi umeed bhi hoti hai.”

Short Caption For Mother Best for Instagram, Facebook

Uski baahon mein sukoon chhupa hota hai jahan har bachcha chain se sota hai.

Woh sabki jagah le leti hai, par uski jagah koi nahi le sakta.

Maa ki muskaan aaj bhi humein kal se roshan karti hai.

Uska saara hunar iss baat mein hai ke woh zindagi jeena sikha deti hai.

Bachcha maa ki aankhon aur muskaan mein yahi padhta hai — ‘Tu mere liye sab kuch hai.’

Agar pyaar ek phool hota, to meri maa usi ka sabse khushbudar roop hoti.

Maa ke haath chhodte hain bas kuch waqt ke liye, dil kabhi nahi.

Maa ka pyaar ek aisi shanti hai jo bas hoti hai — bina shart ke.

Puri zindagi maa banna sabse bada farz hai — jiska inaam pyaar ke roop mein milta hai.

Jab maa ki taraf dekho, to duniya ka sabse pavitra pyaar dikhai deta hai.

Perfect maa koi nahi hoti — lekin ek achhi maa banne ke hazaar tareeke hote hain.

Uski godi sabse narm, uski muskaan sabse roshan, aur uske kadam sabse khushbudar raaste hain.

Maa ka pyaar sab kuch hai — woh jaan deti hai, taqat deti hai, aur kabhi kabhi chamatkaar bhi.

Uske shabdon mein buddhi hoti hai, uski hansi mein himmat — woh bina darr ke jeeti hai.

Jahan se har pyaar ki shuruaat hoti hai, maa wahi jagah hai.

Final Thoughts

Thank you for exploring this collection of maa ke liye Shayari in English. We hope these words helped you express feelings that are hard to say. Sometimes, one simple line can carry deep love and meaning. Whether you’re remembering old moments or honoring her silently, maa ke liye Shayari in English is a soft way to speak from the heart. Keep these lines close. They’re not just words — they carry emotion, memory, and truth.

Leave a Reply