Intezaar Shayari in English shows the deep feelings of waiting for someone you love. These short poems talk about love, pain, and hope. If you are missing someone or waiting to meet them, this shayari will speak to your heart. Each line is full of emotion and easy to read—perfect for anyone who knows the feeling of waiting.
If you enjoy emotional poetry, you may also like Punjabi love shayari that expresses pure and deep romance. For something sweet and meaningful, our Shayari Gujarati love lines offer beautiful words with a cultural touch. And if you are feeling sad or heartbroken, the Sad Shayari Punjabi collection has powerful lines that reflect your emotions.
Heart Touching Intezaar Shayari In English

Ek raat woh gaya tha jahan baat rok ke
Ab tak rukka hua hoon wahi raat rok ke.
Kahin woh aa ke mita na de intezaar ka lutf
Kahin qubool na ho jaaye iltija meri.
Jeene ki khwahish mein har roz marte hain
Woh aaye na aaye, hum intezaar karte hain
Jhootha hi sahi mere yaar ka wada
Hum sach maankar aitbaar karte hain.
Kyun kisi se itna pyaar ho jaata hai
Ek pal ka intezaar bhi dushwaar ho jaata hai.
Lagne lagte hain apne bhi paraye
Aur ek ajnabi par aitbaar ho jaata hai.
Tum dekhna ye intezaar rang layega zaroor
Ek roz aangan mein mausam-e-bahaar aayegi zaroor.
Tadap ke dekho kisi ki chahat mein
To pata chalega ke intezaar kya hota hai.
Yoon hi mil jaaye koi bina chahe
To kaise pata chalega ke pyaar kya hota hai.
Kishton mein khudkushi kar rahi hai ye zindagi
Intezaar tera… mujhe poora marne bhi nahi deta.
Ab kaise kahoon ke tujhse pyaar hai kitna
Tu kya jaane tera intezaar hai kitna.
Aankhon ko intezaar ka de kar hunar chala gaya
Chaaha tha ek shakhs ko jaane kidhar chala gaya.
Khatm hone ko hai dekho ye chiraagon ka safar
Ab to aa jaao ke jalne laga hai dil mera.
Unki aawaaz sunne ko beqaraar rehte hain
Shayad isi ko duniya mein pyaar kehte hain
Kaatne se bhi jo na kate waqt
Usi ko mohabbat mein intezaar kehte hain.
Tere intezaar ke maare hain hum
Sirf teri hi yaadon ke sahaare hain hum.
Tujhe chaaha tha jitna is duniya se
Aur aaj tere hi haathon haare hain hum.
Heartfelt Intezar Shayari 2 lines

Jaanta hai ke woh na aayenge
Phir bhi masroof intezaar hai dil
Jaanleva thin khwahishein warna
Wasl se intezaar achha tha
Mujh ko ye aarzu woh uthayen naqaab khud
Un ko ye intezaar taqaza kare koi
Ek raat woh gaya tha jahan baat rok ke
Ab tak ruka hua hoon wahin raat rok ke
Na koi wada na koi yaqeen na koi umeed
Magar humein to tera intezaar karna tha
Ab ki baar bhi keh sake na haal dil apna
Intezaar kiye baithe hain agli mulaqat ka
Thoda sa intezaar kar ae dil
Use bhi pata chal jayega usne khoya kya hai
Hum uski aas mein yun baithe hain
Jaise la ilaaj ko intezaar ho maut ka
Us ki yaad mein baithe hain
Neend se kaho intezaar kare
Is intezaar mein baithe hain un ki mehfil mein
Ke woh nigah uthayein to hum salaam karein
Mat dhoondh andheron mein kuch paayega nahi
Uska bhi kya intezaar karna jo kabhi aayega hi nahi
Dil ke darwaze par yun to dastaken bahut hui
Magar us ek shakhs ka intezaar aaj bhi hai
Badi shiddat se intezaar mein hoon
Meri mayyat par milne ka wada hai unka
Kitni zaalim hoti hai ye pal do pal ki mohabbat
Na chahte hue bhi dil ko kisi ka intezaar rehta hai
Baat to sirf ek raat ki thi magar
Intezaar aapka umar bhar kar liya
Intezaar yaar mein bhi lutf kamal hai
Nazarain kitaab par sochain janab par
Muqaddar ki zanjeeron se bandhe hum be-bas log
Umar guzaar dete hain mojze ke intezaar mein
Shadeed itna raha tera intezaar mujhe
Ke waqt minnatein karta raha guzaar mujhe
Jaagun to samne ho mere yaar ka chehra
Rabba koi aisi neend tu mujhe bhi sila de
Intezar Wali Shayari

Faasle mitaakar aapas mein pyaar rakhna
Pyaar ka rishta yoonhi barqaraar rakhna
Bichhad jaayein kabhi aap se hum
To aankhon mein hamesha hamara intezaar rakhna.
Haath ki lakeeron par aitbaar kar lena
Bharosa ho to kisi se pyaar kar lena
Khona paana to naseebon ka khel hai
Khushi milegi bas thoda intezaar kar lena.
Dil mein jo aaya wo likh diya
Kabhi milna kabhi bichhadna likh diya
Teri judaai hi hai ab muqaddar mera
Humne zindagi ka naam intezaar likh diya.
Phir aaj koi ghazal tere naam na ho jaaye
Kahin likhte likhte shaam na ho jaaye
Kar rahe hain intezaar teri mohabbat ka
Isi intezaar mein zindagi tamaam na ho jaaye.
Intezaar to bahut tha humein
Lekin aaye na woh kabhi
Hum to bin bulaaye hi aa jaate
Agar hota unhein bhi intezaar kabhi.
Unki apni marzi ho
To woh humse baat karte hain
Aur hamara paagalpan dekho ki
Saara din unki marzi ka intezaar karte hain.
Dooriyan hi sahi par deri to nahi
Intezaar bhala par judaai to nahi
Milna bichhadna to kismat hai apni
Aakhir insaan hain hum, farishte to nahi.
Kismat ne tumse door kar diya
Akelepan ne dil ko majboor kar diya
Hum bhi zindagi se munh mod lete magar
Tumhare intezaar ne jeene par majboor kar diya.
Zakhm itne bade hain izhaar kya karein
Hum khud nishaana ban gaye, waar kya karein
Mar gaye hum lekin khuli reh gayi aankhen
Ab isse zyada kisi ka intezaar kya karein.
Jhuki hui palkon se unka deedaar kiya
Sab kuch bhula ke unka intezaar kiya
Woh jaan hi na paaye jazbaat mere
Maine sabse zyada jinhein pyaar kiya.
Intezar Sad shayari
Muddat hui palk se palk aashna nahi
Kya us se ab zyada kare intezaar chashm
Sadiyon tak ehtemaam shab hijr mein rahe
Sadiyon se intezaar sehar kar rahe hain hum
Nahi hai der yahan apni jaan jaane mein
Tumhare aane ka bas intezaar baqi hai
Misaal shama jala hoon dhuan sa bikhra hoon
Main intezaar ki har kaifiyat se guzra hoon
Teri aamad ki muntazir aankhen
Bujh gayi khaak ho gaye raste
Raat bhi murjha chali chaand bhi kumhla gaya
Phir bhi tera intezaar dekhiye kab tak rahe
Yeh intezaar ki ghadiyan yeh shab ka sanata
Is ek shab mein bhare hain hazar saal ke din
Yeh intezar na thehra koi bala thehri
Kisi ki jaan gayi aap ki ada thehri
Woh mujhe chhod ke ek shaam gaye the Nasir
Zindagi apni isi shaam se aage na badhi
Woh intezaar ki chaukhat pe so gaya hoga
Kisi se waqt to poochein ke kya baja hoga
Tere aane ka dhoka sa raha hai
Diya sa raat bhar jalta raha hai
Yeh hum jo hijr mein deewar o dar ko dekhte hain
Kabhi saba ko kabhi naamah bar ko dekhte hain
Marne ke waqt bhi meri aankhen khuli rahein
Aadat jo pad gayi thi tere intezaar ki
Bajaye seene ke aankhon mein dil dhadakta hai
Yeh intezaar ke lamhe ajeeb hote hain
Raat beeti to yeh yaqeen aaya
Jis ko aana tha woh nahi aaya
Yeh jo mohlat jise kehte hain umar
Dekho to intezaar sa hai kuch
Intezar Shayari In English
Wada nahi payam nahi guftagu nahi
Hairat hai ae Khuda mujhe kyon intezar hai
Thak gaye hum karte karte intezar
Ek qayamat unka aana ho gaya
Tamam umr tera intezar kar lenge
Magar yeh ranj rahega ke zindagi kam hai
Lagi rehti hai ashkon ki jhadi garmi ho sardi ho
Nahi rukti kabhi barsaat jab se tum nahi aaye
Tere wade ko kabhi jhoot nahi samjhoonga
Aaj ki raat bhi darwaza khula rakhunga
Qasid payam e shauq ko dena bohot na tool
Kehna faqat yeh unse ke aankhen tars gayin
Tamam umr tera intezar humne kiya
Is intezar mein kis kis se pyaar humne kiya
Muddat se khwab mein bhi nahi neend ka khayal
Hairat mein hoon yeh kis ka mujhe intezar hai
Tamam jism ko aankhen bana ke raah teko
Tamam khel mohabbat mein intezar ka hai
Main ne samjha tha ke laut aate hain jaane wale
Tu ne jaa kar to judaai meri qismat kar di
Shab-e-intezaar ki kashmakash mein na poochh kaise sahar hui
Kabhi ek charaagh jala diya, kabhi ek charaagh bujha diya
Yeh daagh daagh ujala yeh shab-guzida sahar
Woh intezar tha jis ka yeh woh sahar to nahin
Mujhe khabar thi mera intezar ghar mein raha
Yeh haadsa tha ke main umr bhar safar mein raha
Intezar Poetry
Yeh intezar nahin shama hai rifaqat ki
Is intezar se tanhai khoobsurat hai
Jis ki aankhon mein kati thin sadiyaan
Us ne sadiyon ki judaai di hai
Intezar kitna jaan lewa hota hai
Kabhi khud ka waasta paday to batana
Aankhein rehti hain shaam-o-sehar muntazir teri
Aankhon ko sonp rakha hai intezar tera
Kabhi to dair-o-haram se tu aayega wapas
Main maikade mein tera intezar kar loonga
Khula hai dar pe tera, intezar jaata raha
Khuloos to hai magar aitbaar jaata raha
Kabhi is raah se guzre woh shayad
Gali ke mod par tanha khada hoon
Katt’te kisi tarah se nahin haaye kya karoon
Din ho gaye pahaad mujhe intezar ke
Kaav kaav sakht jaani haaye tanhaai na poochh
Subah karna shaam ka lana hai joye-sheer ka
Kamaal-e-ishq to dekho woh aa gaye lekin
Wohi hai shauq wohi intezar baaqi hai
Kabhi dar par, kabhi hai raste mein
Nahin thakti hai intezar se aankh
Jise na aane ki qasmein main de ke aaya hoon
Ussi ke qadamoun ki aahat ka intezar bhi hai
Kab woh aayenge Ilahi mere mehmaan ho kar
Kaun din kaun baras kaun mahina hoga
Ussi khayal mein har shaam intezar kati
Woh aa rahe hain, woh aaye, woh aaye jaate hain
Woh hote agar maut, to maut se bhi na inkaar hota
Mar bhi jaate agar mila unka pyaar hota
Qubool kar lete har saza
Agar unki aankhon mein hamara intezaar hota.
Ek shaam aur dhal gayi
Ek din aur jee liya tere bagair
Final Thoughts
Waiting for someone is never easy, but shayari helps us share those feelings. Intezaar Shayari in English brings out the pain, hope, and love in a way everyone can understand. Whether you are missing someone or just want to feel connected, this poetry speaks from the heart. Keep reading and exploring more love and sad shayari to express your emotions beautifully.