Going through a breakup? It hurts when someone you love becomes a memory. If you feel lost and don’t know how to express your pain. This post shares breakup shayari in English that touches broken hearts.
These lines speak of what silence hides. They express feelings that are hard to say. If you miss someone or feel hurt, these sad love shayari may feel like your own story.
Every shayari carries meaning. Some show pain. Some reflect love that faded. All are written to comfort your heart.
Let your emotions feel heard. Let your heart rest for a while. These dard bhari poetry words are for you.
Start reading. You may find peace in one line that understands everything.
Heart Touching Breakup Shayari

Yunhi dekha hai ghari ki jaanib
Humein kisi ka intezaar thodi hai
Agarche main ik chattaan sa aadmi raha hoon
Magar tere baad hosla hai ke jee raha hoon
Tumhare baad khaamoshi ka manzar
Dil-e-naashaad, khaamoshi ka manzar
Us raat badi khaamoshi thi
Main usko dhoondhne nikla to
Us raat dariche khaali the
Tera bichhadna koi aam waaqia na tha
Kayi baras lage khud ko yaqeen dilate hue
Alvida kehne ko dil nahi maanta
Pehle din mile the anjaan the jo
Aaj ek doosre ki jaan ho gaye
Hamari aankhon mein be wajah aa gaye aansu
Yaqeen kijiye kisi baat par nahi aaye
Sard mausam mein udaasi achhi nahi lagti
Pyaar mein yaar ki khaamoshi achhi nahi lagti
Koi sada muntazir nahi rehta
Har taalluq musafirana hai
Khaamoshiyon ka mausam, sargoshiyon ka mausam
Ek dard-e-la-dawa hai, madhoshiyon ka mausam
Kaam ki baat maine ki hi nahi
Yeh mera tour-e-zindagi hi nahi
Majrooh karke ab haal-e-dil ka poochhogay
Khoj karo to khud ko na qabil-e-maafi paogay
Apne andaaz ka akela tha
Is liye main bada akela tha
Tark-e-taalluqaat ke baad
Suna hai saamne sab ke woh aksar muskurati hai
Magar tanhaiyon mein toot kar aansu bahaati hai
True Love Breakup Shayari For Boyfriend

Kuch kehne ka waqt nahi, yeh kuch na kaho, khaamosh raho
Ae logo, khaamosh raho… haan, ae logo, khaamosh raho
Alvida saal-e-guzishta
Khushiyan milin, gham bhi mile is saal mein humein
Achhe bure din bhi mile is saal mein humein
Alvidaai mein unke chehre ko takte rahe der tak
Phir uske baad unka deedaar mayassar na aa saka
Agar yaqeen nahi aata to aazmaaye mujhe
Woh aaina hai to phir aaina dikhaye mujhe
Hum samajh gaye saari
Tumhari unkahee baatein
Khaamoshi mein pyaar ke izhaar bhi hain
Pas-e-parda chahat ke asaar bhi hain
Maut se kaho zara intezaar kare
Abhi umeed hai mujhe uske aane ki
Aankhen rehti hain shaam-o-sehar muntazir teri
Aankhon ko saunp rakha hai intezaar tera
Aankh lagti hi nahi, khauf hai taari aisa
Khwab aate hain sabhi tujh se bichhadne wale
Tark-e-taalluq hai na yeh be-murawwati
Khwahish ke ehteraam mein hain, bandishen khud par
Yoon to kehne ko bohot log shanaasa mere
Kahan le jaoon tujhe, ae dil-e-tanha mere
Rooh pyaasi kahaan se aati hai
Yeh udaasi kahaan se aati hai
Toota dil
Meri aankhen dhuaan dhuaan si
Aur dil bhi hai toota toota sa
Muddat hui bichhde hue ek shakhs ko lekin
Ab tak dar-o-deewaar pe khushboo ka asar hai
Heart Broken Breakup Shayari

Khaamoshi dam tod gayi
Mujh se naata tod gayi
Taalluq is tarah todna nahi karte
Ke phir se jodna dushwaar ho jaaye
Ek chaand akela hai sitaaron ke beech mein
Meri pasand hai tu hazaaron ke beech mein
Jidhar jaate hain sab jaana udhar achha nahi lagta
Mujhe paamaal raston ka safar achha nahi lagta
Tark-e-taalluqaat ki qeemat na poochhiye
Bikhre hue jazbaat ki hasrat na poochhiye
Woh dil kahan se laoon teri yaad jo bhula de
Mujhe yaad aane wale koi rasta bata de
Sach kahoon, saha nahi jaata
Jab tum rooth jaate ho
Naya ek rishta paida kyun karein hum
Bichhadna hai to jhagra kyun karein hum
Raaz-e-ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bohot kuch jala ke dekh liya
Kyun kisi aur ko dukh dard sunaoon apne
Apni aankhon se bhi main zakhm chhupaoon apne
Khaamoshi keh rahi hai
Ae musafir suno! Meri qabar hi saja jao
Un ke aangan ke shajar ki yahan daali hi laga jao
Tujh ko bhoola nahi woh shakhs jo
Teri baanhon mein bhi akela tha
Kuch kahoon, kuch sunoon, zara thehro
Abhi zindon mein hoon, zara thehro
Sad Tota Dil Shayari – Sad Love Lines
Yeh theek hai ke teri bhi neendain ujhar gayin
Tujh se bichhad ke hum se bhi soya nahi gaya
Eid ke chaand ki maanind hua hai shayad
Haaye woh jo roz mila karta tha khwabon mein
Khaamoshi toot jaati hai
Suno
Bada maan hai na tumhein… apne lehje par
Alvida ae dost
Teri dosti mein fana ho rahe hain
Tadapta hai dil ke juda ho rahe hain
Maaf karna zehen se nikal gaya hai
Tum se jo kehna tha, ho ke roobaru
Khaamoshi buhran sada hai, tum bhi chup ho, hum bhi chup
Sanaata tak cheekh raha hai, tum bhi chup ho, hum bhi chup
Jab se toota hai yeh dil
Ab beqaraar nahi rehta
Haseen teri aankhen, haseen tere aansu
Yahin doob jaane ko jee chahta hai
Hai mujhe yaad ab bhi woh saawan ki raat
Thi woh tujh se meri alwidaai mulaaqaat
Us ne toṛa woh ta’alluq jo meri zaat se tha
Usay ranj na jaane meri kis baat se tha
Tune hamesha aane mein der kar di
Main ne hamesha apni ghaṛi ko kharaab samjha
Chal nikalti hain gham-e-yaar se baatein kya kya
Hum ne bhi kiñ dar-o-deewaar se baatein kya kya
Dard Bhari Shayari – Broken Poetry
Khamoshi se bikharna aa gaya hai
Humein ab khud ujharna aa gaya hai
Kisi ko alwida kehna bohat takleef hoti hai
Kisi ko alwida kehna
Dikhaai kuch nahin deta
Alwida kaise kahun
Zakhm zakhm hai zabaan
Dil mera ban ke aaeena toota
Teri mehfil mein baarhaa toota
Ta’alluq to toote ga kaise
Kabhi khaahish, kabhi hasrat ban kar
Dil mein yaad-e-ilahi aati hai baar baar
Teri khamoshi mein aik raaz chhupa hai
Teri udaasi mein aik dard chhupa hai
Main dil pe jabr karun ga tujhe bhula doon ga
Marun ga khud bhi, tujhe bhi kaṛi saza doon ga
Waqt ne sabr karna seekha diya
Warna hum to tera door jaana maut samajh baithay thay
Ae dost, hum ne tark-e-ta’alluq ke bawajood
Mehsoos ki hai teri zarurat kabhi kabhi
Toota hua dil kyun na ghabraaye
Shikasta deewaron ke makaan gir jaate hain
Sitaron se ulajhta ja raha hoon
Shab-e-furqat bohat ghabra raha hoon
Main ne tasveer phaink di hai magar
Keel deewaar mein gaṛi hui hai
Ta’alluq toota nahin karte
Khafa hona, mana lena
Yeh sadiyon se riwaayat hai
Toṛ ke dil maafi ka taqaaza karte hain
Gunahgaar karte hain jab yeh taqaaza karte hain
Sad Shayari Love Breakup
Is gali ne yeh sun ke sabr kiya
Jaane waale yahan ke the hi nahin
Tum se ab pehle sa ta’alluq to nahin
Yeh aur baat hai tumhein bhula paaye nahin
Aaj socha to aansu bhar aaye
Muddatein ho gayiñ muskuraaye
Aankhon mein sitare to kai shaam se utare
Par dil ki udaasi, na dar-o-baam se utare
Dil apna toota to kya hua
Saath un se chhoota to kya hua
Khamoshi ko bewafai kehna laazmi tha
Warna hum tumhaari nazron mein utar jaate
Qisse meri ulfat ke jo marqoom hain saare
Aa dekh tere naam se mosoom hain saare
Raat tareek, raaste khamosh
Manzilon tak hain qamqame khamosh
Dard baṛhta hi rahe aisi dawa de jao
Kuch na kuch meri wafaon ka sila de jao
Shaam ki khamoshi mein yeh shor kaisa hai
Raahon se poochhte hain yeh moṛ kaisa hai
Tum se tark-e-ta’alluq ke bawajood
Mehsoos ki hai teri kami kabhi kabhi
Honton pe hai khamoshi maut ki
Aankhon mein hai tareeki maut ki
Yeh raabton mein ghaflat, yeh bhoolnay ki aadat
Kahin door ho na jaana yunhi door rehtay rehtay
Khushboo jaise log mile afsane mein
Ek purana khat khola anjaane mein
Bichhadne ki itni jaldi thi usay
Khud ko chhod gaya aadha mujh mein
Bewafa Sad Shayari For Girlfriend
Yaad aaoon ga har ghadi tum ko
Ek baar bichhad to jaane do
Jhuka ke sar khamoshi pe israr kiya hai
Ikrar-e-mohabbat ka yun izhaar kiya hai
Ae dost hum ne tark-e-ta’alluq ke bawajood
Mehsoos ki hai teri zarurat kabhi kabhi
Qissay meri ulfat ke jo marqoom hain saare
Aa dekh tere naam se moosoom hain saare
Kathin tanhaiyon se kaun khela main akela
Bhra ab bhi mere gaon ka mela main akela
Tujh ko bhoola nahin woh shakhs jo
Teri baanhon mein bhi akela tha
Jo milte hain dost woh bichhadtay hain zaroor
Main naadaan tha jo ek shaam ki mulaqat ko zindagi samajh baitha
Hai aaj yeh gila ke akela hai Shehryar
Tarsoge kal hujoom mein tanhai ke liye
Ab kisi se mera hisaab nahi
Meri aankhon mein koi khwab nahi
Us ko juda hue bhi zamana bohat hua
Ab kya kahein yeh qissa purana bohat hua
Main akela chala tha pairon se jang karne
Un ke gunday aate rahe mujhe tang karne
Badshahon ko sikhaya hai qalandar hona
Aap aasan samajhte hain munawwar hona
Best Breakup Love Shayari
Jama hum ne kiya hai gham-e-dil mein
Is ka ab sood khaye jaayein ge
Bas ab tark-e-taalluq ke bohot pehlu nikalte hain
So ab yeh tay hua hai sheher se sadhu nikalte hain
Bichhadne ki itni jaldi thi usay
Khud ko chhor gaya aadha mujh mein
Taalluq is tarah toda nahi karte
Ke phir se jorna dushwaar ho jaye
Aaj badi khamoshi se guzara kiya
Sirf ek hum umar ko ishaara kiya
Khamoshi raat ki dekhta hoon aur tujhe sochta hoon
Mad hosh aksar ho jata hoon aur tujhe sochta hoon
Tere hijr se taalluq ko nibhaane ke liye
Main ne is saal bhi jeene ki qasam khai hai
Dhund ke paar nazaron mein kahin rehta hai
Woh shakhs waqt ke dharon mein kahin rehta hai
Tum tark-e-taalluq ka zikr kisi se mat karna
Main yeh keh doonga ke fursat nahi milti
Woh jo haath tak lagane ko samajhta tha be-adabi
Gale lag ke ro diya bichhadne se zara pehle
Agar woh bichhad kar jee sakte hain
Tum mar hum bhi nahi jaayenge
Bohat roya woh hum ko yaad kar ke
Hamari zindagi barbaad kar ke
Final Thoughts
Breakup shayari in English helps when words are hard to say. It gives voice to pain and makes heavy hearts feel less alone. If you felt lost in love, these lines gave you space to feel.
Take your time. Feel every word. Let breakup shayari in English guide you through the sadness. You’re not alone. These lines are here for you, anytime you need comfort. Sometimes, small words carry the biggest healing.