You are currently viewing 160+ Akelepan Zindagi Dard Bhari Shayari – Best Broken Lines

160+ Akelepan Zindagi Dard Bhari Shayari – Best Broken Lines

When loneliness feels painful, shayari becomes the voice of the soul. In those moments, words become a safe space to share hidden emotions. Akelepan zindagi dard bhari shayari is powerful because it gives a voice to the pain we often keep inside. It speaks to people who have felt alone, hurt, and unheard.

When sadness grows, many people turn to alone sad shayari for comfort. These lines feel like a friend who understands. Through zindagi akele shayari, readers realize they are not the only ones carrying such feelings. That connection makes the heart lighter.

In this post, you’ll find touching, Sad lines and soulful, broken poetry. Each line will speak to you, bring reflection, and show that pain, healing, and hope are possible.

Heart Touching Akelapan Zindag Dard Bhari Shayari

Dard bhari Shayari
Akelepan Zindagi Dard Bhari Shayari

Rukna na ab kahin, jhukna na ab kahin.
Ae dil ye zamaana pehle sa hai nahi.
Matlab ki baatein hain, matlab se matlab hai.
Jaisa ye dikhta hai waisa ye hai nahi.

Takleef ye nahi ki tumhein aziz koi aur hai,
dard tab hua jab hum nazarandaaz kiye gaye.

Khamoshi ko ikhtiyaar kar lena,
Apne dil ko thoda beqaraar kar lena.
Zindagi ka asli dard lena ho to.
Bas kisi se bepanah pyaar kar lena.

Ye bura waqt jaane kab tak satayega.
Aur jaane kitne bure din batayega.
Zindagi se ab man bhar sa gaya hai.
Kaun jaane maut wala din kab aayega.

Koi abhi jaan se pyaara nahi lagta.
Meri kashti ko koi kinaara nahi lagta.
Matlab ki baatein hain, matlab ke rishte.
Sab gair hain, koi sahaara nahi lagta.

Kuch poore huye khwaab, kuch adhoore huye hain.
Hum unse bichhadkar bhi jude huye hain.
Mohabbat ki humein bhi sazaa mili hai.
hum wafa karke bhi bure huye hain.

Kabhi apni zarurat, kabhi shauk bana lete,
Kuch zakhm meri rooh ko bewajah dete.
Itni jaldi kyun mujhe azaad kar diya,
Ishq ki mujhe thodi aur sazaa dete.

Khushiyon se naaraaz hai meri zindagi.
Pal do pal ki mehmaan hai meri zindagi.
Mere zakhmon ka ilaaj kuch nahi.
Bas mujhse hi pareshan hai meri zindagi.

Tum mujhe, mera ishq bhula paoge kya.
Ruhon ke gaon mein mujhse milne aaoge kya.
Main tumhari yaad mein marna chahta hoon.
tum meri qabar pe phool sajaoge kya.

Kuch apno ke sataaye huye bhi log hain.
Aansoo kar kisi ke jhoothe nahi hote.
Matlab nikalne par sab badal hi jaate hain.
Apne bhi aaj kal apne nahi hote.

Heartfelt 2 Line Alone Dard Bhari Shayari

Akelepan Zindagi Dard Bhari Shayari
Akelepan Zindagi Dard Bhari Shayari

Hum ne samete hain dard duniya ke
Tum se ek hum na sambhale gaye

Hum tere hain yeh raaz to tum jaan gaye
Tum kis ke ho yeh dard humein sone nahi deta

Likhne ko likh doon haal-e-zindagi
Magar har dard ka maatam sar-e-aam nahi hota

Hum to hamesha se hi dard ke kharidaar hain
Khushiyon ke saude humein raas nahi aate

Zakhm de ke na pooch dard ki shiddat
Dard to dard hai, thoda kya zyada kya

Mera dard mera hi tha
Bohat dard hua jaan kar

Kabhi paas baitho to batayein ke dard kya hai
Yoon door se poochoge to khairiyat hi batayenge

Jitna tum dil mein liye phirte ho
Utna dard to roz humare sar mein rehta hai

Itna dard na diya kar ae zindagi
Har kisi ke paas humdard nahi hota

Dard deti hai khamoshi teri
Maar deta hai tera bekhabar rehna

Usay pata tha mujhe uska muskurana pasand hai
Is liye usne jab bhi dard diya, muskurakar diya

Halaat kya poochte ho janaab
Jab saare dard tumhare hi diye hue hain

Itna dard to marne se bhi na hoga
Jitna dard teri khamoshi ne diya hai

Yaqeen na aaye to ek baar poochh kar dekho
Jo hans raha hai woh zakhmon se choor nikle ga

Purane dard mein shiddat nahi rahi
Usay kaho mujhe ek baar phir apna bana ke chhod de

Jo zahir ho jaye woh dard kaisa
Aur jo dard samajh na sake woh humdard kaisa

Aag lage aag ko woh sard ho jaye
Kaash kabhi dard ko bhi dard ho jaye

Ek do zakhm nahi, saara badan chilni hai
Dard bechara pareshaan hai kidhar se nikle

Sad Love Akele Shayari

Sad Alone Shayari
Akelepan Zindagi Dard Bhari Shayari

Woh shakhs bhi mehroom-e-samaat nikla
Jise hum ne ro ro ke dard sunaye apne

Tum se jo dard mile bhoole nahi hain hum
Aaj bhi khoon rista hai dil ki deewaron se

Tum pe guzre gi to tum bhi jaan jaoge
Koi apna yaad na kare to kitna dard hota hai

Saare dard mujhe sonp diye
Itna aitbaar tha mujh par

Kaash woh humare dard ki wajah to poochhte
Jin ke dard ki dawa hum the

Har muskurahat ke peeche ka dard aur
Har dard ke peeche ki kahani koi nahi samajh sakta

Zindagi na kar saki is dard ka ilaaj
Sukoon tab tab mila jab jab tujhe yaad kiya

Na koi humdard tha na koi hi dard tha
Phir ek humdard mila, usi se saara dard mila

Kuchh chhod gaye, kuchh chhoot gaye
Kuchh chhod diye — yahi hai zindagi

Baat karte raho hum se, aksar jee nahi lagta
Tumhare raabton se zindagi mehsoos hoti hai

Baday hi sakht the zindagi ke haadse
Zakhm bhi khaye hum ne, marham bhi humein rakhna pada

Jise log zindagi kehte hain
Woh haadson ka hujoom hai

Ae zindagi tu hi bata kaise tujhe pyar karoon
Teri har subah meri umr ghata deti hai

Kaise dar jaayen maut se
Ke hum ne kaata hai zindagi ka azaab

Hum ne yeh zindagi se seekha hai
Sab hai mumkin, sabhi nahi mumkin

Zindagi hum se tere naaz uthaye na gaye
Saans lene ki faqat rasam ada karte hain

Zindagi aa main tujhe galay lagata hoon
Tu sitam karta ja, main apna sabr aazmata hoon

Thodi si to zindagi thi
Kya tera bichhadna zaroori tha.

Akekepan Ki Dard Bhari Shayari In English

Ae zindagi, humein tum se koi tamanna hi kab thi
Hum to isi aas mein jeete hain ke marna kab hai

Zindagi hai so guzar rahi hai warna
Humein guzre to zamaane hue

Bas aglay mor par sukoon hoga
Chal zindagi thoda aur chalein

Ae zindagi, khatam kar ab yeh aati jaati saanson ke silsile
Main thak sa gaya hoon khud ko zinda samajhte samajhte

School ka basta halka hua to
Zindagi bhaari ho gayi

Ae zindagi, tujh se bhi shikayatein bohot hain
Sambhal ja, warna tujhe bhi chhod jaaun ga

Ek aisa bhi safar karwaya zindagi ne
Jis mein paon nahi, dil thak gaya mera

Zindagi ka falsafa bhi kitna ajeeb hai
Shaamein katt’ti nahi, saal guzar jaate hain

Zindagi khoobsurat hai, ek khwab ki tarah
Na jaane kab toote ga yeh kaanch ki tarah

Woh bilkul zindagi ke jaisa tha
Khoobsurat bhi aur be aitbaar bhi

Zindagi ja chhod de peecha mera
Aakhir mein insaan hoon, pathar to nahi

Zindagi ki kitaab mein itni ghaltiyan na karo
Ke pencil se pehle rubber khatam ho jaye aur tauba se pehle zindagi

Main kya kya nikaalunga armaan dil ke
Yahan zindagi hi badi mukhtasir hai

Zindagi mili to kya mili, bankar bewafa mili
Itni meri khata na thi jitni mujhe saza mili

Na milta gham to barbaadi ke afsane kahan jaate,
Duniya agar hoti chaman to veerane kahan jaate.
Chalo accha hua apno mein koi gair to nikla,
Sabhi agar apne hote to begane kahan jaate.

Jo teer bhi aata wo khaali nahi jaata,
Mayuus mere dil se sawali nahi jaata.
Kaante hi kiya karte hain phoolon ki hifazat,
Phoolon ko bachane koi maali nahi jaata.

Akelepan Broken Heart Shayari In English

Ab na main hoon, na baaki hain zamaane mere,
Phir bhi mashhoor hain shehron mein fasane mere.
Zindagi hai to naye zakhm bhi lag jaayenge.
Ab bhi baaki hain kai dost puraane mere.

Kuch baatein karke woh humein rula ke chali gayi,
Hum na bhoolenge yeh ehsaas dila ke chali gayi.
Aayegi kab woh ab to yeh dekhna hai umr bhar.
Bujh rahi hai woh aag jise woh jala kar chali gayi.

Na pooch mere sabr ki inteha kahan tak hai,
Tu sitam kar le, teri hasrat jahan tak hai.
Wafa ki umeed, jinhe hogi unhe hogi,
Humein to dekhna hai, tu bewafa kahan tak hai

Jis din band kar li humne aankhen,
Kai aankhon se us din aansu barasenge,
Jo kehte hain ke bahut tang karte hain hum,
Wahi hamari ek shararat ko tarsenge.

Khata ho gayi to saza bata do,
Dil mein itna dard kyun hai, wajah bata do,
Der ho gayi hai yaad karne mein zaroor,
Lekin tumko bhula denge, ye khayal dil se mita do.

Toota ho dil to dukh hota hai,
Karke mohabbat kisi se ye dil rota hai,
Dard ka ehsaas to tab hota hai,
Jab kisi se mohabbat ho aur
Uske dil mein koi aur hota hai.

Din hua hai to raat bhi hogi,
Ho mat udaas, kabhi baat bhi hogi,
Itne pyaar se dosti ki hai,
Zindagi rahi to mulaqat bhi hogi…

Dard se dosti ho gayi yaaron,
Zindagi be dard ho gayi yaaron,
Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara,
Door tak roshni to ho gayi yaaro.

Bin baat ke hi roothne ki aadat hai,
Kisi apne ka saath paane ki chahat hai,
Aap khush rahen, mera kya hai.
Main to aaina hoon, mujhe to tootne ki aadat hai.

Akelapan Sad Life Shayari

Har baat mein aansu bahaya nahi karte,
Dil ki baat har kisi ko bataya nahi karte,
Log mutthi mein namak leke ghoomte hain…
Dil ke zakhm har kisi ko dikhaya nahi karte.

Dharti ke gham chhupane ke liye gagan hota hai,
Dil ke gham chhupane ke liye badan hota hai,
Mar ke bhi chhupane honge gham shayad,
Isliye har laash par kafan hota hai.

Ek din hum aapse itne door ho jaayenge,
Ke aasmaan ke in taaron mein kahin kho jaayenge,
Aaj meri parwaah nahi aapko,
Par dekhna ek din had se zyada…
Hum aapko yaad aayenge!!

Ek pehchaan hazaaro dost bana deti hai,
Ek muskaan hazaaro gham bhula deti hai,
Zindagi ke safar mein sambhaal kar chalna,
Ek ghalti hazaaro sapne jala kar raakh deti hai.

Rote rahe tum bhi, rote rahe hum bhi,
Kahte rahe tum bhi aur kahte rahe hum bhi,
Na jaane is zamaane ko
Hamare ishq se kya narazgi thi,
Bas samjhaate rahe tum bhi
Aur samjhaate rahe hum bhi.

Woh humein bhool bhi jaayein to koi gham nahi,
Jaana unka jaan jaane se bhi kam nahi,
Jaane kaise zakhm diye hain usne is dil ko,
Ki har koi kehta hai ki
Is dard ki koi marham nahi.

Apna hoga to sata ke marham dega,
Jaalim hoga apna bana ke zakhm dega,
Samay se pehle pakti nahi fasal,
Arey, bohot barbaadiyaan abhi mausam dega.

Jis jis ne muhabbat mein,
apne mehboob ko khuda kar diya,
khuda ne apne wajood ko bachane ke liye,
unko juda kar diya.

Is tarah mili wo mujhe saalon ke baad,
jaise haqeeqat mili ho khayalon ke baad,
main poochta raha us se khataayein apni,
wo bahut royi mere sawaalon ke baad.

Feeling Akelepan Zindagi Dard Bhari Shayari

Na wo sapna dekho jo toot jaaye,
na wo haath thaamo jo chhoot jaaye,
mat aane do kisi ko kareeb itna,
ki uske door jaane se insaan khud se rooth jaaye.

Apni to zindagi hai ajeeb kahani hai,
jis cheez ki chaah hai wo hi begaani hai,
hansate bhi hain to duniya ko hasane ke liye,
warna duniya doob jaaye in aankhon mein itna paani hai.

Muhabbat mein saccha yaar na mila,
dil se chahe humein wo pyaar na mila.
Loota diya uske liye sab kuch maine,
museebat mein mujhe madadgaar na mila.

Ab ye na poochhna ki..
ye alfaaz kahaan se laata hoon,
kuch churaata hoon dard doosron ke,
kuch apni sunaata hoon.

Teri yaad mein aansuon ka samandar bana liya,
tanhai ke shahar mein apna ghar bana liya,
suna hai log poojte hain patthar ko,
isliye tujhse juda hone ke baad dil ko patthar bana liya.

Jinke dil pe lagti hai chot..
wo aankhon se nahi rote,
jo apno ke na hue..
kisi ke nahi hote,

mere haalaaton ne mujhe ye sikhaya hai..
ki sapne toot jaate hain par poore nahi hote.

Uski yaadon ko kisi kone mein chhupa nahi sakta,
uske chehre ki muskaan kabhi bhula nahi sakta,
mera bas chalta to uski har yaad ko bhool jaata,
lekin is toote dil ko main samjha nahi sakta.

Phir tera charcha hua, aankhen hamari nam hui,
dhadkane phir badh gayi, saans phir bedam hui,
chaandni ki raat thi, taaron ka pehra bhi tha,
isliye hi shayad gham ki aatishbaazi kam hui.

Dard hai dil mein par iska ehsaas nahi hota,
rota hai dil jab wo paas nahi hota,
barbaad ho gaye hum uske pyaar mein,
aur wo kehte hain is tarah pyaar nahi hota.

Top Zindagi Dard Bhari Shayari On Life

Dil ka har raaz de diya unko mehrbaan samajh kar,
lagaya maut ko gale se humne, unka farmaan samajh kar,
wo naadaan kya jaane meri deewangi ki had ko,
ki har sitam ko saha hai humne uska ehsaaan samajh kar.

ere dard par rota hoon aaj bhi,
tu bedard ho gayi zamaane se,
kya kami reh gayi meri muhabbat mein,
ye zindagi beet na jaaye suljhane mein.

Kabhi vaade ke naam par,
kabhi saude ke naam par,
hum beche jaate hain aaj bhi,
mohabbat ke naam par..

Ek ajeeb sa manzar nazar aata hai,
har ek aansoo samandar nazar aata hai,
kahan rakhu main sheeshe sa dil apna,
har kisi ke haath mein patthar nazar aata hai.

Is dil ko kisi ki aahat ki aas rehti hai,
nigaah ko kisi soorat ki pyaas rehti hai,
tere bina zindagi mein koi kami to nahi,
phir bhi tere bina zindagi udaas rehti hai.

Ek arsa beet gaya.. khulkar muskuraye huye,
ek arsa beet gaya.. geet koi gaaye huye,
meri nazron ko tera intezaar aaj bhi hai,
ek arsa beet gaya.. koi rishta naya banaye huye.

Thokar na laga mujhe patthar nahi hoon main,
hairat se na dekh koi manzar nahi hoon main,
unki nazar mein meri kadar kuch bhi nahi,
magar unse poochho jinhain haasil nahi hoon main.

Humein koi gham nahi tha gham-e-aashiqi se pehle,
na thi dushmani kisi se teri dosti se pehle,
hai ye meri badnaseebi tera kya kusoor ismein,
tere gham ne maar daala mujhe zindagi se pehle.

Tune nafrat se jo dekha hai to yaad aaya,
kitne rishte teri khaatir yun hi tod aaya hoon,
kitne dhundhle hain ye chehre jinhain apnaya hai,
kitni ujli thi wo aankhen jinhain chhod aaya hoon.

Best Heart Broken Shayari On Loneliness

Chalo hum galat the ye maan lete hain..
Ae zindagi par ek baat bata.
Kya wo shaks sahi tha jo badal gaya itna.
Kareeb aane ke baad.

Jo nazar se guzar jaya karte hain,
Wo sitare aksar toot jaya karte hain.
kuch log dard ko bayaan nahi hone dete,
bas chupchaap bikhar jaya karte hain.

Ulfat ka yeh dastoor hota hai,
jise chaho wahi humse door hota hai.
dil toot kar bikarta hai is qadr jaise,
kaanch ka khilona girke choor-choor hota hai!

Sab kuch mila sukoon ki daulat na mili,
ek tujhko bhool jaane ki mohalat na mili.
karne ko bahut kaam the apne liye magar,
humko tere khyaal se kabhi fursat na mili.

Mohabbat ki talaash mein,
nikle ho tum
are o paagal…
mohabbat khud talaash karti hai…
jise barbaad karna ho.

Teri aarzu mera khwaab hai,
jiska raasta bahut kharaab hai,
mere zakhm ka andaaza na laga,
dil ka har panna dard ki kitaab hai.

Naya dard ek aur dil mein jaga kar chala gaya,
kal phir wo mere shahar mein aakar chala gaya.
jise dhoondhta raha main logon ki bheed mein.
mujhse wo apne aap ko chhupa kar chala gaya.

Tere rone se unhein koi,
farq nahi padta ae dil,
jinke chahne wale zyada ho,
wo aksar bedard hua karte hain.

Mujhko aisa dard mila jiski dawa nahi,
phir bhi khush hoon mujhe us se koi gila nahi.
aur kitne aansoo bahaaoon us ke liye,
jisko Khuda ne mere naseeb mein likha hi nahi.

Unse milne ko jo socho ab wo zamaana nahi,
ghar bhi kaise jaaoon ab to koi bahaana nahi.
mujhe yaad rakhna kahin tum bhula na dena,
maana ke barson se teri gali mein aana-jaana nahi.

Perfect Life Shayari For Sad Zindagi

Silsila ulfat ka chalta hi reh gaya,
Dil chaah mein dilbar ke machalta hi reh gaya.
kuch der ko jal ke shama khamosh ho gayi,
parwana magar sadiyon tak jalta hi reh gaya.

Us mod se shuru karein
chalo phir se zindagi.
har shay ho jahan nayi si
aur hum ho ajnabi.

Zillat ki zindagi se achha hai shaan se mar jaana,
maut se badtar hai maut ke khauf se dar jaana,
zindadili hai zindagi ko muskura ke jeena,
buzdili hai daure gham mein tootkar bikhar jaana.

Aayi hai yaadein uski milne mujhse aaj,
phir se unko panha di, ye galti meri thi.
Ghar mein mere barkat thi ja.
jabtak saath khuda par, usko khuda banaya,
phir ye galti meri thi.

Faisla ye bhi mere yaar bahut mushkil hai,
tere zulm sahein ya ki fana ho jaayein.

Tujhe nahi to haal-e-dil kisse sunaaye,
ho ijaazat to tere kareeb aaye,.
Bahut badi hai duniya, bata kahan jaaye,
tu kahe to tere naam pe mar jaaye.

Baithe hain rahguzar par, dil ka diya jalaaye,
shayad wo dard jaane, shayad wo laut aaye.

Har ek din bad se badtar hota gaya,
tab waqt hasta aur main rota gaya.
Main khushi ki talaash mein.
Jiske kareeb jaata, wo mujhse utna hi door hota gaya.

Final Thoughts

In the end, loneliness is something we all feel in different ways. Akelepan zindagi dard bhari shayari reminds us that pain becomes lighter when shared through words. These lines are not just poetry; they are feelings that connect hearts. By reading and relating to akelepan zindagi dard bhari shayari, we find comfort, strength, and hope that even in sadness, we are never truly alone.

Leave a Reply